|
---vo aaye humari kabr par diye bujha kar chal diye nishan to mita hi diya tha rooh ko bhi roola kar chal diye ---mere marne ke baad ehsaas hoga tumhe ki yeh duniya itni bhi haseen nahi dosti, chahat, kadam kadam pe mile chahe lekin mohabbat ere zahan-e-naseeb nahin ---kabhie kisi roz yoon bhi hota hamaari haalat tumhari hoti jo raatein hum ne guzaari mar ke vo raatin tumne guzaari hoti ---hai naam honto pe ab bhi tumhara lekin awaaz main pad gayee daraarein tumhe ye zid hai ke hum bhula de sawaal hai duniya ko ya apne aapko ---kab se tere intazaar mai deil lagaye tere de-daar bhete hai teri ek nazar hum par pade, tamanna lagaye hum bhi bhete hai Top ---raaste main gire hain phool, uthata hai koi koi muhabbat karte hai sabhi, nibhata hai koi koi ---dhoondhta phirta hoon main logon mai shabahat uski ke woh khwabon main bhi lagti hai khyalon jaisi ---tapish suraj ki hoti hai, jalna zameen ko parta hai qusur aankhon ka hota hai, tarapna dil ko parta hai ---mere dil main koi aawaz ubhar aati hai teri hi surat kitabon nazar aati hai ---satchaye chup nahi sakti, banawti usulon se khushbu aa nahi sakti, kagaz ke phoolon se ---tumhe dil main basaye rakhta hoon aur duniya ko bhoolaye rakhta hoon tumhe meri nazar na lag jaye apni nazarein jukhaye rakhta hoon ---tumse hame bas chaah thi wafa ki khataa hamse kya hui, jo wafa bhi na kar sake Top ---mohabbat ko meri tumne,aaina kyon samjha pyar ko meri bujhti, shamma kyon samjha tumse hame bas chaah thi wafa ki khataa......na kar sake kiya tha jo tumne waada, hamsafar banoge bekhabar tha do kadam tum, chal bhi na sakoge tumse hame bas chaah thi wafa ki khataa......na kar sake mohabbat main karta tha, mohabbat main karta hoon muskurati raho tum, dua main yeh karta hoon tumse hame bas chaah thi wafa ki khataa......na kar sake ---mohabbat karne wale iss duniya mai kum na honge meri jaan teri mehfil mai bus hum na honge ---mast nazron se dekh lenaa tha agar tamanna thi aazmane ki hum to behush youn hi ho jaate kya zaroorat thi muskurane ki Top ---dil ko manana agar hota aaasaaan na karta kisi ko yoon ye pareshaan tanha na rahta bhari mehfil main na hoti woh halat jo ho na bayaan ---sookh jaate hain lub, lufz milte nahi hota nahi humse ishq bayaan unhe kaise bataoon dil ki lagi kaise sikhaoon aankhon ki zubaan ---khudaa jab husn deta hai nazaakat aaa hi jati hai kadam chun chun kar rakhti ho kamar balkha hi jaati hai ---aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain apne jhakam kisi ko dikhaaya na karo ---hui hum se ye nadani kay teri mehfil mein aa baithe ho kay zameen ki khakh aasman se dil laga baithe Top ---dil cheez he aisi hai, dene ko dende koi kabul karne wala tto mile hum tto jaan bhi dende ---teri aur meri nazar ka na kabhi baer ho lo raah main takra gaye, allah khair ho ---galat nahi ke zamane main lajawaab hain hum samajh sake na koi, woh kitaab hai hum ---ek naam kya likha tera saahil ki rait par phir umar bhar hawa se meri dushmani rahi ---tere aazad bande ki, na yeh duniya na who duniya yahan jeene ki pabandi, wahan marne ki pabandi ---jab paas ho to rukh se, nigahain na morna jab dour ho to mera, tasavvur na chorna aye dost!!! dil lagane se pehle ye sonch le mushkil bahut hai, rishton ki zanjeerain hain torna Top ---woh to khushbu hai, hawaon main bikhar jayega masla phool ka hai, phool kidhar jayega hum to samjhe the ke ik zakham hai bhar jayega kya khabar thi ke rug-e-jaan main utar jayega ---jab se hua hai woh khwab ki tarah zindagi guzar rahi hai azaab ki tarah khushbu ke kalam se shayad likha tha usne khut har lafz mahak raha hai gulab ki tarah ---ashq mile to pee lete hain aap kahe to mar jayen hum aap kahe to jee lete hain hum to hain un phoolon jaise jo kaaton main bhi jee lete hain ---mujh se mut pouch, mere dil ki kahani o hum-dum is main kuch parda-nashinon ke bhi naam aate hain ---in udaas muskurahaton ke peeche, ghum ke railay hain ab tumhain kya batayain, ke tum bin kitne akele hain Top ---mujhe is baaat ka ghum nahi kay badal gaya zamaana meri zindagi to sirph tum ho, kahin tum na badal jaana ---tasalli ho jayegi, zara itna to bata do tumhe bhi hitchkiyan aati hain jab hum yad karte hain ---zaruri to nahi, ke batayain labon se dastaan apni zabaan ek aur bhi hoti hai izhaar ki ---phool khilna chahta hai, kali khilne nahin deti dil milnaa chahtaa hai, kismat milne nahin deti ---apni aakhon ke samunder main utar jaane do tera mujrim hoon, mujhe doub ke mar jaane do zakham kitne teri chaahat se mile hain mujhko sonchta hoon kahoon tujhse, magar jaane do ---yeh bhi aadab hamare hain, tumhain kya malum hum tumhain jeet ke harey hain, tumhain kya malum ek tum ho ke samajhte nahi hum ko apna ek hum hain ke tumhare hain, tumhain kya maalum Top ---falak ke teer ka kya nishana tha idhar mera ghar, udhar uska aaashiyana tha puhunch rahi thi kinare pe kashti-e-umeed usi waqt is tofaan ko bhi yahaan aana tha ---tujhko dekhenge to sitare bhi zia maangen ge pyaase teri zulfon se ghataa maange ge apne maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena varna buddhe bhi jawaani ki dua maange ge ---aisa lagta hai zindagi tum ho ajnabee, kaise ajnabee tum ho main zameen par ghana andhera hoon aasmaanon ki chaandini tum ho ab koi aarzoo nahin baakee joostjoo meree aakhree tum ho doston-se wafa ki ummeeden kis zamaane ke aadmee tum ho ---maana ke aapke nazaron main kuch nahin hain hum magar unse jakar puchiye jin-hain hasil nahi hain hum ---manzil ko paane ke liye saahil ko paar karna parta hai mohabbat karne ke liye dil-o-jaan qurban karna parta hai Top ---duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali qadam mila ke jo hamare saath aap chali ---duniya. duniya tto ek jadoo ka khilona hai miljaye tto mitti hai….miljaye tto mitti hai kho jaye tto sona hai ---kisi ke vaste rahe kahan badalti hai tum apne-aap ko badal sake to chalo ---yahi hai zindagi, kuch khab chand umeende tum in khilono se bhel sako tto chalo ---yeh batayaa doston ne ishq furmane kay baad ab kamray ki ek ek cheez check karta hoon main ek tere aane se pehley, ek tere jaane kay baad ---kaate nahi kat te hain lamhe intezaar ke nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke dil ne kaha dekhein jo jalwe husn-e-yaar ke layaa hai koun inko, phalak se utaar ke Top ---ishq ke lamhe sharaab lagte hain kuch chehre mehtaab lagte hain dukh itne sahe mohabbat main guzre hue ke har lamhe hi hazaar lagte hain ---na tum bewafa ho, na hum bewafa thay magar kya karain apni rahain juda hain ---apne aap se aajtak yhe zindagi teri hi yaad main gum rahi phir bhi jaane kyon yeh ihsaas hai jaise chaahat meri kam rahi ---mast nazron se dekh lena tha agar tamanna thi aazmane ki hum to behosh yu hi hojate kya zuroorat thi muskurane ki ---woh aayen ghar men hamare, khuda ki qudrat hai kabhi ham unko, kabhi apne ghar ko dekhte hain Top ---main aap apni talaash mein hoon mera koi rahnuma nahin hai who kya dikhayenge raah mujhko jinhe khud apna pataa nahin hai ye inke mandir, ye inki masjid ye zarparaston ki sajdaagahen agar ye inke khuda ka ghar hai to inmein mera khuda nahin hai ---is shahar ke ek ek chehre ki aankhon mein pirokar dekha hai dil dil mein dekha hai sehra aankhon mein samandar dekha hai ---har seenay main ek dil hota hai har dil main ek yaad hoti hai mumkin nahin ki kar koi bana de taj mahal, lekin har dil main ek mumtaj hoti hai ---hamen bhi aa padaa hai doston se kaam kuchh yaani hamaare doston ke bewafa hone ka waqt aaya ---zindagi kuch bhi nahi hum phir bhi jiye jaaten hain teri khushi ke liye, e dost lo aaj hum phir tum par ek ehsaan kie jaaten hain Top ---ek bhool, ek nadani, ek hadsa ban gayi barson ki atoot yaari mitti mein mil gayi humne pukara tha zor se kal tumhein lekin usi waqt besharm se ek aandhi chal gayi ---pehlee baar tumhe dekha toh nazar tumse juda na thi humne tto pehlee baar he tumhe apna maan liya tumhara pyar itna such tha, ke hamein tumne apna bana liya ---ab ke hum bitchre to shayad kabhi khawbon main mile jis tarah sukhay hue patte kitabon main mile dhoond ujray hue logon main wafa ke moti ye khazane tujhe mumkin hai kharabon main mile ghum-e-duniya bhi ghum-e-yaar main shamil kar loon nasha barhta hai sharabain jo sharabon main mile too khuda hai na mera ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyon hijabon main mile aaj hum dar ye khainchainge jin baton par kya ajub kal woh zamane ko nasibon main mile ab na woh hain, na woh tu hai, na woh maze hain faraz jaise do shakhs tamanna ke sailabon main mile ab ke hum bitchre to shayad kabhi khawbon main mile Top ---sapna dekhte hain raat ko aashiqui ka aur darte hain ki jaldi subah na ho mashooq dhoondhte hain khoobsurat koi aur darte hain ki wo bewafa na ho ---ye tanhai, in shamon ki, khamoshiyon ka manzar dekhna tum chaho gar, to le lo meri nazar ---woh kya jaane kiss haal mein hai hum hanste hain wau, raute hain hum humme hai yakeen akayle wau nahin bin unke magur kittne tanhaa hain hum ---jis shamm mere lab per tera naam na aaye khuda karee aaise shamm na aaye dil jaane vafa, yea kabhi mumkin he nahie aafsana likhu aur tera naam na aaye ---ishq toh hazaroon karte hain par aashiq sab ka naam nahin khabi tum marte ho, khabe hum martein hain aye yaroon, yeh sab ka kaam nahin Top ---yarab hamari ah mein kuch asar nahin mertey hain jiskey wastey , us ko khabar nahin ---hum to kab se apni jan hatheli per liyen rakhe hani khambaakht koi leta hi nahin ---adalat husn ki hogi masla ishq ka hoga gawahi mera dil dega mujrim tera pyar ho ga ---uska pyaar hae ke hum paa nahin sakte tumhara pyaar hae ke hum lota nahin sakte ---yaadon meh baste ho, kiyaloon meh milteh ho ankoon seh door ho, magar phir be kareeb ho ---meri dil ki arzu yeh ti, keh tereh kadmoh meh dam nikleh bewafa tum nahin badkismat ham nikleh ---na salam yaad rakna, na peghaam yaad rakna bas itni si intajah yai, mehra naam yaad rakna Top ---dil dard karta hain jis ki duwa tum ho agar qiyamat ka daar na hota toh keh dehteh khuda tum ho ---dil ko kya ho gaya khuda jaane kyun hai aisa udaas kya jaane keh diya maine haal aur dil apna isko hum jaane ya khuda jaane ---phool khilte hain, khil kar bikhar jate hain phool khilte hain, khil kar bikhar jate hain yaade to dil me rehti hai,dost mil kar bichad jate hain ---bari mushkil me hu mein kaise izhaar karu tu to khushbu hain tujhe kaise giraftar karu ---aasmaan se gira ek chaand ka tukda usse bhi sundar aapka mukhra ---na jina mila na marna mila mila to teri yaad me tarapna mila Top ---dil diya to jaan bhi de dena magar yeh yaad rakhna kisiko dhoka mat dena ---khilte hai gul yaha, khilke bikherne ko milte hai dil yaha, milke bicharne ko ---ay khat ke parne wale, zara dil lagake parna aansu na nikal aaye, zara muskurake parna ---na yeh chaand hoga na tare hoge magar hum hamesha tumhare rahenge ---bewaqufo ki kami nahi gahlib ek dundho to hazaar milteh hai ---log pyaar ko mitti ka bana hua ek khilona samajte hai jab chaha tabh tordiya, jab chaha chordiya ---chaand ki raton mei sara jahaan sota hai lekin teri yaadon mei koi badnasib rota hai Top ---dilme yaado ki tarha, aankhon me aansu ki tarha tum mere paas ho, phoolo me khushbu ki tarha ---mere dilki har dharkan tumhare liye hai meri har muskurahat tumhari nadaani ke liye hai tumhari har ada mere dilko churane ke liye hai abh to meri zindagi tumhare intezaar ke liye hai ---bewafa to use kehte hai jo wafa nahi karte agar tumse pyaar na hota to tumhe bewafa kaise kehte phirbhi tumne mere pyaar ka aisa sila diya hai ke tumhe bewafa kehna bhi bewafai ki tauheen hoti hai ---kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye teri yaad jab bhi aayee,tujhe bhula bhulake roye ek tera hi naam tha jise hazaar baartha likha jise khush hue the likhkar use mita mitake roye ---apnon ne maara hai humko gairon mein kahan tha dum kashti bhi apni to doobi paani jahan tha kam Top ---mera ikraar tere inkaar se behatar hoga mera din bhi teri raat se behatar hoga yakeen nahin to dolee se jhankke dekhna mera janazaa teri baaraat se behatar hoga ---us falak ke teer ka kya nishana tha jahan thee meri manzil wahin mera aashiyana tha bas pahunch hi rahi thi kashti saahil pe is toofan ko bhi abhi hi aana tha ---meri dukh ki koyee davaa na karo mujhko mujhse abhi judaa na karo yeh sikhaya hain dosti ne hamen dost bankar kabhi wafaa na karo ishq hain ishq, yeh mazaak nahin chand lamhon mein faisla na karo ashiqui ho ya bandgee, 'faakir' bedillee se to ibtida na karo ---sar jukaogay to, pathar devta ho jayega itna mat chaho usay, woh be-wafa ho jayega ---huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aa'h bethay ho kay zameen ki khakh, aasman se dil laga bethay Top ---kaun rakhta hai yaad naamo ko logh chehro ko bhool jate hai tum samandar ki baat karti ho logh ankho mein doob jatey hai mohabat jisey kerni ho wo mohabat kya janey mera dil unhe ab bhi chahta hai unka dil ko khuda jaane ---chupa chupake raat din aansu bahaanaa yaad hai humko ab tak, aashiqui ka, wo zamaanaa yaad hai ---jinki yaad hai dil me nishaani ki tarah woh to bhool gaye hume kahani ki tarah ---waqt ke saath badal jaaye use pyaar nahi kehte musibat se jo darr jaaye use yaar nahi kehte ---keh de aye chand, dost se bewafa na samjhe nazaro se door hai par dil se juda na samjhe Top ---kya likhu, likha nahi jaata bin tere ab raha nahi jaata yeh kaisi uljhan hai, yeh kaisi bebasi hai jee raho hoon istarah pher bhi jeeya nahi jaata ---humne kitni koshish ki unhe manane ki na jaane kaha se seekh li unhone yeh ada zidd par add jaane ki ---tera gam mujhe isliye gavara hai ke zindagi jeene ka yahi to ek sahara hai ---tumne bhi rangoli sajayi hogi matwaali diwaali manayi hogi bujha hua chirag dekhkar humari yaad to aayi hogi Top Mail me at smirfanulla@yahoo.com |